Khushbu
wo khushbo bhejha krti thi main nazme'n likhta rehta tha
wo has k ujaala krti thi , main subhe'n likhta rehta tha
geeli rait py sahil ki doobty sooraj k hamraah
wo chup si chalti rehti thi, main soche'n likhta rehta tha
deep wafa k hotay thay ya shayad do taaray thay
wo mujh ko dekha krti thi main aankhe'n likhta rehta tha
tapti dhoop ka rung bhi to phoolo'n sa ho jata tha
wo zulfe'n khola krti thi main shaame'n likhta rehta tha
toot kr aksar chahat mein, rooth kr yun hi ulfat mein
wo mujh ko jeeta krti thi main maate'n likhta rehta tha
misl-e-khoon wo rag rag mein ban k zeest hi behti thi
mery jeenay ki wo wajah thi main saanse'n likhta rehta tha
dono ki pehli chahat thi, dono toot k miltay thay
wo waaday krti rehti thi main qasme'n likhta rehta tha
rasm-e-dunia ny aakhir hum ko bhatka dena tha
wo manzil dhoonda krti thi, main raahe'n likhta rehta tha
chand din jab aa thehray thay uski meri judai mein
main usky haath py pehro'n phir lakeere'n likhta rehta tha
jaa'n sy pyari thi wo shikwa phir kya krna tha
main apny honto'n py chup ki bus mohre'n likhta rehta tha
din mein dard ki shidat ko hass ker main seh jata tha
pr bin uskay jo kat'ti thi wo raate'n likhta rehta tha
guzri yaad k sab lamhay dil ko cheer k rakhtay thay
main gumnaami k sehra mein haan ghatae'n likhta rehta tha
uss bin mann ka aangan phir khaali khaali rehta tha
main tanhai k haatho'n pr aaaah maate'n likhta rehta tha
dasht-e-wafa mein basnay ka daikh haasil ay janu manu
main yaaden likhta rehta hoon, main yaade'n likhta rehta tha..

Comments
Post a Comment